main dhundta hun jise wo jahan nahin milta nai zamin naya aasman nahin milta nai zamin naya aasman bhi mil jae nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta wo tegh mil gai jis se hua hai qatl mera kisi ke hath ka us par nishan nahin milta wo mera ganw hai wo mere ganw ke chulhe ki jin mein shole to shole dhuan nahin milta jo ek khuda nahin milta to itna matam kyun yahan to koi mera ham-zaban nahin milta khada hun kab se main chehron ke ek jangal mein tumhaare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta