khiraman shahid-e-simin badan hai qayamat aasmani pairahan hai tabassum hai ki mauj-e-nur-o-nikhat nazar hai ya mohabbat ki kiran hai meri masti ka andaza hai kis ko nigah-e-naz meri ham-sukhan hai wo meri zindagi par hukmaran hain mere bas mein na ye tan hai na man hai hazaron rang hain meri nazar mein tasawwur mein kisi ki anjuman hai khayalon mein mere lahra rahi hain wo zulfen jin mein bu-e-yasaman hai abhi is mein khizan aane na pae ye nau-ras aarzuon ka chaman hai kahan ab wo mazaq-e-sarfaroshi zaban par qissa-e-dar-o-rasan hai nahin badle tere 'muztar' ke andaz wahi masti wahi diwana-pan hai