tumhaare jism ko chhu kar mahak utthi saba koi chala khushbu se khushbu ka barabar silsila koi bahut mayus lauti hai chaman se phir hawa koi ghazal ke kahne wale kah rahe hain marsiya koi khizan ke daur mein gulshan ko kya mahsus hota hai ye nazuk baat samjhega bhi kaise bewafa koi ye hum jaanen hamari naw jaane ya bhanwar jaane hamari kashmakash mein ab na aae na-khuda koi hamin ne jaan di jis bankpan se jis qarine se ye hasrat rah gai maqtal mein aa kar dekhta koi sun ai patjhad zamana lag gaya teri hukumat ka gulon ko ab nahin manzur tera faisla koi na jaane kyun dhuen ki ek lakir uthti hai is ghar se kahin malbe ke niche dab gaya jalta diya koi abhi tak is zamin ke aadhe sar mein dard baqi hai are chaaragaro chhodo dua kar lo dawa koi tumhaari justuju mein chhod di thi hum ne jannat bhi wagarna is zamin par kaise hota hadisa koi iradon mein zara bijli jaga ke dekh ai 'panchhi' isi pinjre se niklega chaman ka rasta koi