khizan ke khauf se kaliyon ko larzan dekh leta hun hujum-e-rang-o-bu mein gham ke tufan dekh leta hun bhula baitha hun yaad-e-talkh ayyam-e-guzishta ki magar ab bhi kabhi khwab-e-pareshan dekh leta hun tadap uthta hun gham se sina-chaakan-e-gulistan ke gulon ko dekh kar apna gareban dekh leta hun gulon ki sina-chaaki bulbulon ka dard-e-betabi main har parde mein tere jaur-e-pinhan dekh leta hun dar-e-mai-khana wa hota hai waiz main abhi aaya zara pi lun to bahs-e-kufr-o-iman dekh leta hun jo gharqabi muqaddar hai to arman hi nikal jae zara hat nakhuda main zor-e-tufan dekh leta hun meri khuddariyan jine nahin detin mujhe 'qaisar' magar banda hun us ka jis ko insan dekh leta hun