pur-soz tarannum mein kya shama ghazal-khwan hai lau jhumti jati hai parwana bhi raqsan hai derina kharabon par tamir-e-gulistan hai ba-wasf hujum-e-gul rangini-e-viran hai shoala ho ki khushbu ho tasir mein yaksan hai har shama mahakti hai har phul farozan hai dil ke kisi jazbe ko kya nam abhi se dun jo un ki nigahon se takrae wo arman hai aasuda zamane ki be-rah-rawi tauba wo mashq-e-sitam jab tak jari rahe ehsan hai yaad aati hai rahon mein shadabi-e-nakhlistan phir pa-e-barahna hai pur-khar bayaban hai khamoshi ke aalam mein dil dubta jata hai thahri hui maujon ke daman mein bhi tufan hai ai bazm-e-sukhan tera aise mein khuda-hafiz palken wo jhuki si hain 'mani' bhi ghazal-khwan hai