sochte hain to kar guzarte hain hum to manjdhaar mein utarte hain maut se khelte hain hum lekin ghair ki bandagi se darte hain jaan apni to hai hamein bhi aziz phir bhi shoalon pe raqs karte hain dil-figaron se puchh kar dekho kitni sadiyon mein ghaw bharte hain jin ko hai indimal-e-zakhm aziz aamad-e-fasl-e-gul se darte hain chhup ke rote hain sab ki nazron se jo gila hai wo khud se karte hain