khushi dekhte hain na gham dekhte hain hum andaz-e-ahl-e-karam dekhte hain har ek shai mein jazb-e-tasawwur ke sadqe tumhin ko tumhaari qasam dekhte hain saba subh-dam jaane kya kah gai hai gulon ki bhi aankhon ko nam dekhte hain jhuka dete hain hum jabin-e-aqidat jahan un ka naqsh-e-qadam dekhte hain teri chashm-e-mai-gun ke mai-khwar hain jo wo kab jaanib-e-jam-e-jam dekhte hain ye ahl-e-mohabbat ka tarz-e-nazar hai sitam mein bhi rang-e-karam dekhte hain 'tarab' jada-paima-e-ulfat jahan mein kahan rah ke pech-o-kham dekhte hain