khizan se jod ke rishta bahaar ka koi khushi nahin na sahi gham to de gaya koi na shukriya na shikayat ye rabt hai kaisa kise nasib thi fursat ki sochta koi na koi dost na dushman to phir ye uljhan kyun tamam umr isi karb mein raha koi ajib daur se wabastagi rahi meri ki mil saka na mujhe apna ham-nawa koi haqiqaton ke bhi rukh se naqab uth jata kabhi jo apne gareban mein jhankta koi guzar gaya to harifon ke war se bach kar khud apni tegh-e-ana se na bach saka koi zaban se kuchh na kaha wo samajh gaya lekin meri nigah mein tha harf-e-iltija koi