yunhi dukh ho jawenge kam shahzade aa ja sukh ke khwab bunen hum shahzade apne hosh ganwa baithi hun phir se aaj soch rahi hun tujh ko har dam shahzade shahzadi ke khwab azab na kar jaana ho jawengi aankhen pur-nam shahzade meri ruh mein teri yaad utarti hai haule haule maddham maddham shahzade aisa sakht takallum aakhir kyon bolo kyon rahte ho barham barham shahzade kab tak tanha tanha tuten bikhrenge ruh mein ruh ko hone de zam shahzade shahzade kuchh aur na mange shahzadi nikle teri banhon mein dam shahzade rafta rafta ho gae aakhir tere nam mera jiwan mere mausam shahzade tujh se hi manus hua so tu jaane jag kya jaane dil ka aalam shahzade aansu tujh ko dhunden hain diwana-war shahzadi ki aankhen hain nam shahzade kab tak tanha chunti jae zakhm 'rabab' rakh mithe lafzon ke marham shahzade