khizan se manus ho chuke hain nahin khabar kuchh bahaar kya hai tadap ki lazzat hai jin ko hasil nazar mein un ki qarar kya hai bachega kab tak gharib insan hawadis-e-gardish-e-zaman se hawa ke jhonkon mein jal sakega charagh ye e'tibar kya hai qarib ho kar bhi dur hain jaise ek dariya ke do kinare yunhi gulistan mein rah ke bhi hum nahin hain waqif bahaar kya hai chaman ke ho kar jo ji rahe hain khizan hai rashk-e-bahaar un ki parastish-e-gulsitan hi thahri to farq-e-ghuncha-o-khar kya hai nashat-e-wasl-o-sharab-e-didar par jo kam-zarf mutmain hain unhen koi kis tarah batae tayyush-e-intizar kya hai khuda-ra 'altaf' mujh se ahbab meri tanhaiyan na chhinen ghamon ke hote hue kisi ko zarurat-e-gham-gusar kya hai