khizan tujh par ye kaisa barg-o-bar aane laga hai mujhe ab mausamon par e'tibar aane laga hai kahan dopahr ki hiddat kahan thandak shafaq ki siyah resham mein chandi ka ghubar aane laga hai khulenge wasl ke dar dusri duniyaon mein bhi bil-akhir hijr ke rukh par nikhaar aane laga hai mere asbab mein mashkiza-o-khurjin rakhna safar ki sham hai aur regzar aane laga hai falak ko bar bar ahl-e-zamin yun dekhte hain ki jaise ghaib se koi sawar aane laga hai