khizr se kab hai chhupa kuchh meri manzil ke siwa jis se waqif nahin koi bhi mere dil ke siwa hum qalandar hain jahan chahenge ja baithenge aur bhi to hain thikane teri mahfil ke siwa jaan dena hai to phir minnat-e-qatil hi kyon aur bhi to hain wasail kaf-e-qatil ke siwa kaun hai naqa-nashin kaun samajh pae ise jab nazar aae na kuchh parda-e-mahmil ke siwa shahr ke dusre rukh ko bhi faramosh na kar jhonpade bhi hain falak-bos manazil ke siwa zor-e-bazu ko zara us ke bhi dekhen kya harj band rahen hain jo sab kucha-e-qatil ke siwa hai zaruri ki ho taid-e-khudawandi bhi kaam banne ke liye apne wasail ke siwa chup na hoga hai 'wali' waqt ka apne suqraat kuchh ilaj us ka nahin zahr-e-halahil ke siwa