ladta hai mushkil se par mushkil-kusha hota nahin aadmi insan hota hai khuda hota nahin qasr-e-irfan mein rasai pate hain arbab-e-dil har bashar ke waste dar us ka wa hota nahin chashma-sar-e-nur mein umr-e-abad ki kar talash chah-e-tariki mein ab aab-e-baqa hota nahin is haqiqat ko na samjhenge ye khwahan-e-bahisht kasa-e-daryuza har dast-e-dua hota nahin har-nafas se mil nahin sakti hai be-jaanon ko jaan hath har insan ka dast-e-shifa hota nahin hai falak par mamba-e-anwar tanha aaftab har sitara charkh par zulmat-ruba hota nahin zist ke sahil-nashin ye bhi hai ek shakl-e-sarab halqa-e-girdab-e-dariya naqsh-e-pa hota nahin karta hai koshish to apni si har insan ta-ba-umr haq to ye hai zindagi ka haq ada hota nahin asl fidya sirf ehsas-e-nadamat hai 'wali' sim-o-zar ya sar kisi ka khun-baha hota nahin