nazar ko zakhmi labon ko figar mat karna gulon ki chah mein kanton se pyar mat karna jo chupke chupke adawat ki samt jata hai wo rasta kabhi tum ikhtiyar mat karna jo log chadhti hui dhup ke pujari hain hamara aison mein hargiz shumar mat karna judaiyon ki ruton mein milan ka mausam hai ye tum na likhna mera intizar mat karna siyah-nasibi jo aae kabhi khuda na kare tu apne sae pe bhi eatibar mat karna