kho jate hain dariya mitti pyasi rah jati hai sadiyon rahne wali zard udasi rah jati hai aankh ke pichhe kya hota hai ilm nahin ho sakta fankaron ki aakhir rup-shanasi rah jati hai khul kar apne ishq ka hum ne to izhaar kiya hai ghat kar rah jae to chahat basi rah jati hai dopahron ko jagti rahti hai sayon ki surat din ho jata hai par raat zara si rah jati hai sarmae ki gardish hai har waqt zaruri 'hazrat' jauhad banta hai jab aab-nikasi rah jati hai