kho kar teri gali mein dil-e-be-khabar ko main fikr-e-khudi se chhut gaya umr bhar ko main sazish ba-qadr-e-rabt thi tur o jamal mein samjha hun aaj uqda-e-sang-e-sharar ko main ab hai to mustaqil ho farogh-e-shab-e-visal aisa na ho charagh jalaun sahar ko main sahra se bar bar watan kaun jaega kyun ai junun yahin na utha laun ghar ko main jhuma kya surur se 'simab' raat bhar dekha kiya kisi ki nashili nazar ko main