zamin ko sajda kiya khun se ba-wazu ho kar main razm-gah se lauta hun surakh-ru ho kar jahan mein phail gai dud-e-shoala se zulmat falak pe bah gaya suraj lahu lahu ho kar mujhe tha dam-e-asiri nasheb dariya ka uchhal gaya main kinaron se tund-khu ho kar gurez-pai ko hai gumrahi ka dasht-e-bala khat-e-safar to chamakta hai aab-ju ho kar wo lams zaiqa jis ne meri zaban ko diya bikhar na jae kahin saut-e-guftugu ho kar kiya hai pursish-e-ahwal-e-zakhm ne ruswa ye chaak aur numayan hua rafu ho kar rahi na tut ke girne se meri yaktai main pash pash hua khud se du-ba-du ho kar zaban-e-khalq pe shahid main harf-e-talkh raha udi na khak meri gard-e-abru ho kar