sab aasan hua jata hai mushkil waqt to ab aaya hai jis din se wo juda hua hai main ne jism nahin pahna hai koi darad nahin hai shab mein phir ye ujala sa kaisa hai barson ka bachhda hua saya ab aahat le kar lauta hai apne aap se darne wala kis pe bharosa kar sakta hai ek mahaz pe haare hain hum ye rishta kya kam rishta hai qurb ka lamha to yaron ko chup karne mein guzar jata hai suraj se sharten rakhta hun ghar mein charagh nahin jalta hai dukh ki baat to ye hai 'shaariq' us ka wahm bhi sach nikla hai