kho kar use sar apna patakti rahi hai ruh janmon salib-e-gham pe latakti rahi hai ruh gum-gashta lazzaton ke tajassus mein 'umr-bhar parchhaiyon ki samt lapakti rahi hai ruh hanste rahe hain lab teri dil-jui ke liye roti rahi hai ruh sisakti rahi hai ruh ek 'umr mujh se jism ka rishta raha magar ek 'umr tujh se dur bhatakti rahi hai ruh chhoda na qatilon ne mere jism ka nishan un ke magar dilon mein khatakti rahi hai ruh us ka mizaj thi ki muqaddar thi gum-rahi janmon badan ke ban mein bhatakti rahi hai ruh yaadon ke aaine mein koi chand dekh kar bachche ki tarh us pe humakti rahi hai ruh is draupadi ka chir-haran kaun kar saka khud ko hazar pardon mein dhakti rahi hai ruh kya jaane ja basa hai wo kis chitrakoot mein jis ki birah mein roti bilakti rahi hai ruh yaadon ke mai-kade se nikal kar bhi der tak is rup ke nashe mein bahakti rahi hai ruh phenka tha us ne mujh pe tabassum ka ek phul tab se 'shabab' apni mahakti rahi hai ruh