khud ko bhula ke hum unhen dhunden magar kahan un ki nazar nazar hai hamari nazar kahan jaen teri talash mein shorida-sar kahan rahte hain apne haal se wo ba-khabar kahan aanchal ki sarsarahaten naghma-nawaz hain sath un ke ja rahi hai nasim-e-sahar kahan bargashta aap kya hain zamana bhi hai khilaf ab hum guzaren zindagi-e-mukhtasar kahan misl-e-ghubar rah-e-talab ustuwar kar sikha hai udti khak ne azm-e-safar kahan un mast-ankhdiyon ke tasawwur mein kho gae khud apne hosh mein hain mere chaaragar kahan pahli si rasm-o-rah 'shabana' nahin rahi hum mit gae magar unhen is ki khabar kahan