kho ke dil mera tumhein na-haq pashemani hui tum se nadani hui ya mujh se nadani hui allah allah phut nikla rang chahat ka meri zahr khaya main ne poshak aap ki dhani hui hum ko ho sakta nahin dhoka hujum-e-hashr mein teri surat hai azal se jaani-pahchani hui ai saba main aur kya dun qabr-e-majnun ke liye khak thodi si chadha dena meri chhani hui yar ke hathon hua jo kuchh hua ai tegh-e-naz teri uryani hui ya meri qurbani hui kar gai diwangi hum ko bari har jurm se chaak-damani se apni chaak-damani hui badh di banki adaon ne jo khanjar ko 'jalil' zabh karne mein mere qatil ko aasani hui