na koi rabt ba-juz khamushi o nafrat ke milenge ab to khulase yahi mohabbat ke main qaid-e-jism mein ruswa tu qaid mein meri badan pe dagh liye qaid-e-be-saubat ke ajib baat gireban pe hath un ka hai jo tosha-gir-e-tamanna the harf-e-ghairat ke bas ab to harf-e-nadamat ko sabt-e-daem de saba-sifat the risale gham-e-mohabbat ke dua se tazkiya-e-nafas tak safar hai bahut libas badloge kitne bhi ab zarurat ke siyah safed ke malik ko farq-e-rang se kya pade na us pe bhi sadme kabhi hazimat ke zamam-e-kar-e-jahan kis ke hath hai ya-rab badal gae hain taqaze bhi aadmiyat ke zamana darpa-e-azar hai to kya 'nahid' bikharte aae hain moti sada mashaqqat ke