pher jo padna tha qismat mein wo hasb-e-mamul pada khanda-e-gul se uda wo sharara khirman-e-dil par phul pada dekh idhar o nind ke mate kis ki achanak yaad aai bich se tuti hai angdai hath uthte hi jhul pada husn-o-ishq ki an-ban kya hai dil ke phansane ka phanda apne hathon khud aafat mein ja ke ye na-maqul pada kaun kahe qismat palti ya mat palti sailani ki rasta kat ke jaane wala aaj idhar bhi bhul pada haal nahin jine ke qabil aas nahin marne deti ediyan ragde aakhir kab tak khak par ek maqtul pada jitne husn-abaad mein pahunche hosh-o-khirad kho kar pahunche mal bhi to itne ka nahin ab jitna kuchh mahsul pada rah-e-wafa thi tedhi bigdi thi har gam uftad nai panw kisi ka tut gaya aur hath kisi ka jhul pada bagh mein gulchin hai na hai mali bijli hai na falak pe sahab ahd-e-khizan mein jala hai nasheman aa ke kahan se phul pada panw ki taqat taq hui to band ki aankh aur ja pahunche 'arzu' us ko khub kiya kam raste mein jo tul pada