milta nahin kisi ko tu o KHanuman-KHarab

milta nahin kisi ko tu o khanuman-kharab
phirta hai justuju mein teri ek jahan kharab

kyunkar na dil siyah kare ishq-e-zulf-e-yar
hota hai rafta rafta dhuen se makan kharab

dam-o-qafas mein ja ke phansa hun main peshtar
sau bar ho chuka hai mera aashiyan kharab

khud-rafta kar diya hai ye josh-e-bahaar ne
phirte hain bu-e-gul ki tarah baghban kharab

bose ke chat par na ziyaada lagaiye
karte hain aap kis liye meri zaban kharab

le chal jun khuda ke liye aur samt ko
naqis yahan zamin hai yahan aasman kharab

wahshat mein khel hai mujhe zanjir todna
haddad se kaho na kare bediyan kharab

main bosa mangta hun wo dete hain galiyan
yan bhi zaban kharab hai wan bhi zaban kharab

hirs-o-hawa se hai dil-e-gham-gin bhara hua
le jaun pesh-e-yar main kya armughan kharab

dushnam agar yunhi mujhe dega to raat-din
bigdega kya mera teri ho ke zaban kharab

milta hai kab wo yusuf-e-gum-gashta dekhiye
phirta hun misl-e-gard rah-e-karwan kharab

dariya ke aage asl nahin musht-e-khak ki
kya ho ghubar-e-jism se ruh-e-rawan kharab

niklega khat zarur teri ru-e-saf par
ek din bahaar-e-bagh karega khizan kharab

ghabra ke kah na yar se ai dil gham-e-firaq
qisse ka lutf kya hai agar ho bayan kharab

ai 'kaif' us ke waste aalam tabah hai
yusuf ki justuju mein hai ye karwan kharab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close