kisi ka shisha-e-dil tod kar jaya nahin karte makin-e-dil makan ko is tarah dhaya nahin karte tum apne aansuon ko rok lete apni palkon par kisi ka raaz-e-gham ghairon se khulwaya nahin karte hum ahl-e-dil hain dastur-e-wafa se khub waqif hain tadap kar jaan de dete hain tadpaya nahin karte ye gham to aarzuon ki hasin saughat hai ai dil to phir hangama-ha-e-gham se ghabraya nahin karte kisi ka raaz-e-dard-e-dil chhupana shart-e-ulfat hai to us ko dekh kar mahfil mein chhup jaya nahin karte usi be-dard ka gham had se jab badh jae hai ai dil to sher az-khud chale aate hain hum laya nahin karte na khul jaen kahin asrar-e-sar-basta sar-e-mahfil hum un ki anjuman mein is liye jaya nahin karte shamim aao tumhein aadab-e-gulshan hum batate hain nikal kar barg-e-gul se gul ko thukraya nahin karte 'sahar' ka dil hai ye bazicha-e-tiflan nahin pyare khilaune se tamannaon ko bahlaya nahin karte