ye to nahin farhad se yari nahin rakhte hum log faqat zarbat-kari nahin rakhte qaidi bhi hain is shan ke aazad tumhaare zanjir kabhi zulf se bhaari nahin rakhte masruf hain kuchh itne ki hum kar-e-mohabbat aaghaz to kar lete hain jari nahin rakhte jite hain magar zist ko aazar samajh kar marte hain magar maut se yari nahin rakhte mehman-sara dil ki gira dete hain pal mein hum sadqa-e-jari ko bhi jari nahin rakhte tanha hi nikalte hain sar-e-ku-e-malamat hamrah kabhi zillat-o-khwari nahin rakhte