sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena zara si dhup bhi is saeban mein rakh dena tujhe hawas ho jo mujh ko hadaf banane ki mujhe bhi tir ki surat kaman mein rakh dena shikast khae hue hauslon ka lashkar hun utha ke mujh ko saf-e-dushmanan mein rakh dena jadid naslon ki khatir ye warsa kafi hai mere yaqin ko hisar-e-guman mein rakh dena ye mauj ta-ki safine ko garm-rau rakkhe kuchh aag khema-e-ab-e-rawan mein rakh dena bahut tawil hai kale samundaron ka safar mujhe hawa ki jagah baadban mein rakh dena main apne zimme kisi ka hisab kyun rakkhun jo nafa hai use jaib-e-ziyan mein rakh dena