khub-ru khub kaam karte hain yak nigah mein ghulam karte hain dekh khuban kun waqt milne ke kis ada sun salam karte hain kya wafadar hain ki milne mein dil sun sab ram-ram karte hain kam-nigahi son dekhte hain wale kaam apna tamam karte hain kholte hain jab apni zulfan kun subh-e-ashiq kun sham karte hain sahib-e-lafz us kun kah sakiye jis sun khuban kalam karte hain dil lajate hain ai 'wali' mera sarw-qad jab khiram karte hain