sitam koi naya ijad karna By Ghazal << KHub-ru KHub kaam karte h... misal-e-sail-e-bala na Th... >> sitam koi naya ijad karna to mujh ko bhi meri jaan yaad karna qayamat hai dil-e-nalan qayamat tera rah rah ke ye fariyaad karna chalo ab lutf hi ko aazmao tumhein aata nahin bedad karna asir-e-zulf hai 'mahrum' un ka jinhen aata nahin aazad karna Share on: