uth raha hai aashiyanon se dhuan dekhega kaun hai magar tabir khwab-e-raegan dekhega kaun jal rahi hai dil mein ek aafaq se rishte ki lau jaise hum dekhe hain su-e-asman dekhega kaun tu bahut aaindagan ka khinchta hai intizar be-khabar wo raunaq-e-aindagan dekhega kaun ek ehsas-e-shikast-e-shab bahut raushan magar be-karan is be-hisi ke darmiyan dekhega kaun aarzu ka ek jahan-e-taza bhi manzar mein hai main jise pahchanta hun wo jahan dekhega kaun raste raushan bahut karta raha hun zer-e-pa dur tak phaile hain qadmon ke nishan dekhega kaun dad jaankahi ki kis se paen ab ahl-e-hunar khun-chakida khama risti ungliyan dekhega kaun dekhte hain sab furu-e-shauq ki zebaishen kam nahin kuchh ye maal-e-shauq han dekhega kaun rafta rafta ho rahega zakhm-e-dil ka indimal bujhte bujhte bujh hi jaegi fughan dekhega kaun dekh dil mein ho raha hai ek naya manzar tulua jo idhar bikhri padi hai kahkashan dekhega kaun