wo ek khwab jo dekha gaya tha ujlat mein usi ka karb sameta hai aaj fursat mein ye baat sach hai ki begar to nahin ye hayat ki hum ko zakhm-e-tamanna mile hain ujrat mein ziyan yahi hai ki kuchh aur sujhta hi nahin bas ek dhyan mein rahte hain log shohrat mein hunar kaho ki karamat magar yahi hai ki hum khushi ko dhaal bhi sakte hain gham ki surat mein zamin jiti hai ya sarzamin-e-dil us ne sawal tishna raha jashn-e-fath-o-nusrat mein