khubi ka us ki bas-ki talabgar ho gaya gul bagh mein gale ka mere haar ho gaya kis ko nahin hai shauq tera par na is qadar main to usi khayal mein bimar ho gaya main nau-damida baal chaman-zad-e-tair tha par ghar se uth chala so giraftar ho gaya thahra gaya na ho ke harif us ki chashm ka sine ko tod tir-e-nigah par ho gaya hai us ke harf zer-e-labi ka sabhon mein zikr kya baat thi ki jis ka ye bistar ho gaya to wo mataa hai ki padi jis ki tujh pe aankh wo ji ko bech kar bhi kharidar ho gaya kya kahiye aah-e-ishq mein khubi nasib ki dildar apna tha so dil-azar ho gaya aathon pahar laga hi phire hai tumhaare sath kuchh in dinon main ghair bahut yar ho gaya kab ro hai us se baat ke karne ka mujh ko 'mir' na-karda jurm mein tu gunahgar ho gaya