ma-siwa dard ke tum aur mujhe kya doge

ma-siwa dard ke tum aur mujhe kya doge
sath to de na sake khak sahaara doge

ho ke nadim badi muddat mein to aae ho miyan
phir wo guzre hue din kya mujhe lauta doge

zakhm-e-dil aur hare ho gae tum aae kyon
main ne samjha tha musibat mein sahaara doge

aisi tanhai se to maut hai behtar jaanan
tum aziyyat ke siwa aur bhala kya doge

de ke tum tark-e-talluq ki sanad duniya ko
kya pata shahr-e-khamoshan ke alawa doge

ek ehsan karo mujh pe ye jate jate
phir na milne ka mujhe koi dilasa doge

tum mere sar ki qasam kha ke kaho jaan-e-wafa
kya kabhi is dil-e-be-kal ko bhi samjha doge

hum tere baad bhi zinda-o-salamat hain abhi
tum ne samjha ki hamein chhod ke dikhla doge

ishq karna bhi koi khel kahan hai 'tariq'
aatish-e-ishq mein tum khud ko hi pighla doge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close