khud apna haal dil-e-mubtala se kuchh na kaha dua se hath uthae khuda se kuchh na kaha kise sunaun ki na-saz hai junun ka mizaj khud apne shahr ki aab-o-hawa se kuchh na kaha ye kis se ishq hua kyun hua tajjub hai wo khauf hai ki kisi aashna se kuchh na kaha ye hosh hai ki guzar jaegi phuwar ki rut magar ye zoam ki udi ghata se kuchh na kaha tere khiram ko dekha ba-chashm-e-hasrat-o-yas tamam umr tere naqsh-e-pa se kuchh na kaha khule to kaise khule raaz-e-unfuwan-e-shabab haya ne kya tere band-e-qaba se kuchh na kaha wo kya ada thi ki lahlot ho gae tum 'shaz' ghazab kiya usi jaan-e-ada se kuchh na kaha