kya nahin muqaddar mein kya likha nahin malum aasman chal jae chaal kya nahin malum hum ne ek patthar ko dhadkanen ata ki hain dekhte hain banta hai kab khuda nahin malum haq ki baat ki hum ne kya bura kiya logo kyon mizaj barham hai aap ka nahin malum apne pas rahne de apni jhuti hamdardi haal-e-dil sunaun kya tujh ko ja nahin malum ya-khuda bharam rakhna meri be-nawai ka tu dilon se waqif hai tujh ko kya nahin malum tinka tinka kar dala mere aashiyane ka kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin malum aaj mere dil mein hai kal kahin pe hogi aur kal thikana kya hoga aas ka nahin malum hum qarib aae hain kitni muddaton ke ba'd dur phir kare lamha kaun sa nahin malum kajrawi mein hum 'hasrat' haq ko bhul baithe hain kis ko bebasi mein den ab sada nahin malum