khud apne aks ko hairat se dekhta hun main kanar-e-ab badi der se khada hun main swang bharta phirun kab talak mohabbat ke main kyun na saf hi kah dun ki bewafa hun main suna na qisse mujhe damanon ki ismat ke ki tere shahr ke logon ko jaanta hun main wo kaun hai jo mere sath sath chalta hai ye dekhne ko kai bar ruk gaya hun main main aaj dekh sakunga tulua ka manzar ki raat bit chali aur jagta hun main sitam hai tu bhi mujhe khud-gharaz samajhta hai ki tere haq mein to khud se bhi lad raha hun main wo ji rahe hain ki jo soch se hue aari main mar raha hun ki 'betab' sochta hun main