pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart aao utha den aaj mai-e-jaan-faza ki shart shoridgi-e-sar ke liye sang-e-dar ki qaid zanjir-e-gham ke waste zulf-e-dota ki shart ho dopahar ki dhup to palkon ke saeban raaten guzarni hon to kali bala ki shart ye kya zarur ho mizha-e-ishq khun-fishan kyun dast-e-naz ke liye rang-e-hina ki shart har dil-figar ke liye kyun chaak-e-pairahan har dil-nawaz ke liye band-e-qaba ki shart kya farz hai ki hum bhi banen qais-e-amiri rah-e-junun mein kyun ho kisi naqsh-e-pa ki shart kyun dil ke todne ko kahen rasm-e-dilbari kyun ho kisi se wada-e-sabr-azma ki shart kyun ho kisi ko kucha-e-qatil ki justuju kyun imtihan ke waste tegh-e-jafa ki shart kyun zindagi ko jabr-e-musalsal ka nam den kyun aarzu-e-maut ko dast-e-dua ki shart kyun har ghadi zaban pe ho jurm-o-saza ka zikr kyun har amal ki fikr mein khauf-e-khuda ki shart hum ne khud apne-ap zamane ki sair ki hum ne qubul ki na kisi rahnuma ki shart