khud apni zat ki tashhir ku-ba-ku kiye jaen khuda mile na mile us ki justuju kiye jaen ajib jari hua ab ke hukm-e-hakim-e-shahr asir sare taraf-dar-e-rang-o-bu kiye jaen hamein pasand nahin zarf-e-mai mein qatra-e-mai hamare samne khali khum-o-subu kiye jaen jahan bhi aaen nazar chaak chaak daman-e-dil wo tar pairahan-e-ishq se rafu kiye jaen kuchh ab ke aise pada saya-e-tunuk-zarfi samundaron ko bhi hum log aabju kiye jaen khizan ne jin ke muqaddar mein zardiyan likh din hum un gulab-ruton ko bhi surkh-ru kiye jaen janab-e-'mohsin'-e-ehsan se iltija hai ki wo pahunch gae hain sar-e-ab to wuzu kiye jaen