main husn-o-qabh-e-ghazal ko nazar mein rakhta hun ye e'timad bhi apne hunar mein rakhta hun zamana ho gaya bichhde hue magar ab tak tumhaari yaad dua-e-sahar mein rakhta hun bahut aziz hai mujh ko asasa-e-tahzib main aisi jins-e-giran-maya ghar mein rakhta hun watan ko jab bhi zarurat ho khun ki le le ye hausla abhi qalb-o-jigar mein rakhta hun talash-e-manzil-e-hasti bhi kitni mushkil hai main apne aap ko har dam safar mein rakhta hun jala jala ke khud apne nuqush-e-pa ke charagh har ek mod har ek rahguzar mein rakhta hun meri nigah mera ehtisab karti hai main apne aap ko apni nazar mein rakhta hun