khud-bakhud aalam-e-dil zer-o-zabar hota hai nichi nazron mein qayamat ka asar hota hai did kya chiz hai jalwon mein nazar kho jaana warna jalwa kahin paband-e-nazar hota hai ahl-e-himmat ke qadam is se alag uthte hain rukh zamane ki hawaon ka jidhar hota hai teri duniya mein kahin par bhi karun main sajda tera jalwa to mere pesh-e-nazar hota hai shart hai dard mein duba hua afsana ho dil to kya chiz hai patthar pe asar hota hai jab uthata hun qadam rah-e-adab mein 'shaarib' mere hamrah mera zauq-e-nazar hota hai