wo raqs karti mausamon ki shokhiyan nahin rahin hai shakh-e-gul wahi magar wo titliyan nahin rahin faza mein jaane nafraton ka kaisa zahr ghul gaya mohabbaton ki sabz sabz kyariyan nahin rahen widaa ho ke bhi hai aaj ladkiyon ko fikr ye qarib un ki raaz-dan saheliyan nahin rahin moamla ajib sa ye doston mein ho gaya raqib jab se ban gae to yariyan nahin rahin hamare ahd mein kuchh aise masale hain zist ke dilon mein ishq ki nishat-kariyan nahin rahin khulus-o-pyar aaj bhi wahi hai khandan mein bas itna hai 'sukhan' ki jaan-nisariyan nahin rahin