tarh-e-kashan jise hijran-e-yar kahte hain hum us ko wasl hamesha bahaar kahte hain rawa-rawi mein jo khaka sa khinch gaya tha kabhi use bhi motaqidan shah-kar kahte hain wo mohmalat se nukte nikal sakta hai ise fatanat-e-anqa shikar kahte hain nahin hain sanat-e-zul-wajhatain ke qael ki harf-e-haq ho to hum aashkar kahte hain bahaar nam hai tahzib-e-mausam-e-dil ka awam mausam-e-gul ko bahaar kahte hain unhin se puchh ki ye istiara kis se hai nafas ko jo nafs-e-mustaar kahte hain wafa na kar to hamari wafa ki dad hi de tere firaq ko hum intizar kahte hain yahin talak jo mere sath aa ke laut gae wo sang-e-mil ko sang-e-mazar kahte hain kinar-e-yar wahan se bas ek shalang pe hai wo jis ko kaj-kulahan auj-dar kahte hain