masarrat ki ghataen hain wafur-e-shadmani hai numayan aaj gulshan mein bahaar-e-zindagani hai uda din dhajjiyan daman ki apne josh-e-bahjat mein chaman mein aaj phulon ko bhi kitni shadmani hai agar ulfat na hoti zindagani talkh ho jati mohabbat hi haqiqat mein bahaar-e-jawedani hai sunenge aap kab tak ye fasana dard-e-ulfat ka mere ayyam-e-rafta ki badi lambi kahani hai agar ho zauq-e-ulfat phul ban jate hain kante bhi mohabbat se jidhar dekho udhar hi shadmani hai hui jati hai jab tausi’ miad-e-asiri mein asiran-e-qafas ko kyon phir itni shadmani hai yahi din hain nashat-angeziyan phir kyon na hon in mein muraden hain umangen hain khuda rakkhe jawani hai masaib mein gulon se koi sikhe shadman rahna gareban chaak hone par bhi kitni shadmani hai na ghabrana masaib mein 'zaki' mauj-e-hawadis se are nadan mujahid ki yahi to zindagani hai