KHud ko aafat-e-zamana se bachae rakhiye

khud ko aafat-e-zamana se bachae rakhiye
waqt kaisa bhi ho kirdar banae rakhiye

mil hi jaega kisi waqt suragh-e-manzil
rah-e-ulfat mein nigahon ko bachae rakhiye

kaamyabi se to ho jaega qissa hi tamam
ishq-e-nakaam ko nakaam banae rakhiye

dekhne aaenge wo un ki khushi ki khatir
dil ke daghon ko qarine se sajae rakhiye

phenk dije mera dil tut gaya phut gaya
ho gaya khun use is ke bajae rakhiye

bazm us ki hai parae pe nazar mat kije
raunaq-e-bazm bahar-haal jamae rakhiye

tohfa-e-ishq hai 'ejaz' wafa ho ki jafa
jo bhi mil jae use dil se lagae rakhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close