waraq waraq pe fasana bikharne wala tha bacha liya mujhe us ne main marne wala tha shagufta phul pareshan hua to gham na karo ki wo to yun bhi hawa mein bikharne wala tha main us ko dekh ke phir kuchh na dekh paunga ye hadisa bhi mujhi par guzarne wala tha pahad sina-sipar ho gaya tha mere liye wagarna mujh mein samundar utarne wala tha main be-qusur hun ye faisla hua warna main apne jurm ka iqrar karne wala tha umad pada tha jo sailab-e-hijr-e-tanhai wo shahr-e-dil ko bhi gharqab karne wala tha