khud ko dhundo na yan wahan jaanan mere dil mein ho jawedan jaanan dil ko chaukhat pe chhod aaya hun panw rakhiyo na be-dhiyan jaanan ab bhi jalte hain mere sine par tere qadmon ke kuchh nishan jaanan ek hasin yaad ban ke rah jao tum kahan aur main kahan jaanan mujh ko tere badan mein marna hai kar do banhon ko mehrban jaanan arz-e-gham par bhi wah karti ho haal-e-dil kab hai dastan jaanan tujh ko chaha to hijr ko paya is se badh kar ho kya ziyan jaanan apni nazren utha ke dekh kabhi kaise jite hain tishnagan jaanan