khud ko har pal se ba-khabar rakhiye lamha lamha sanbhaal kar rakhiye kis ko fursat hai baat ko parkhe apne lahje ko pur-asar rakhiye ye sitare bahut hain kaj-raftar in ki raftar par nazar rakhiye intiqal aur tabaadala bar-haq ghar ka saman mukhtasar rakhiye hai bahut sakht kal ka registan chhagalen aaj hi se bhar rakhiye shairana rawish ye hai 'kazim' be-khabar ban ke sab khabar rakhiye