ruswa kiya hai usne jahan-bhar ke samne

ruswa kiya hai us ne jahan-bhar ke samne
parde mein chhup gaya hai mujhe kar ke samne

sajda hai inhidam hai kya hai mujhe bata
qasr-e-badan gira hai kisi dar ke samne

uryani badh rahi hai mere ghar ke bichon-bich
diwaren uth rahi hain mere ghar ke samne

ye waqfa-e-namaz bhi kitna tawil hai
kab se khada hun yar ke daftar ke samne

kaise charagh se karun shikwa ki jab meri
chashm-e-nazara bujh gai manzar ke samne

puchhe koi jo raaz ke dil ka to ye kaho
ek ghar hai aur ghar bhi samundar ke samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close