khud main zindan mein hun tirgi ke harf dunga yunhi raushni ke main ise kar-nama kahunga koi pahchan le dukh kisi ke khud bhi main jal raha hun jala kar taq-e-jaan mein charagh aagahi ke mere asbab nam-o-numu kya bas yahi bankpan sadgi ke sab ghubar apni apni hawa mein us gali ke hon ya is gali ke maut ka dar khula kya ki mujh par sare dar khul gae zindagi ke ham-rahi to baja soch lije raste sakht hain rasti ke