musafiron ka kabhi e'tibar mat karna jahan kaha tha wahan intizar mat karna mein nind hun meri had hai tumhaari palkon tak badan jala ke mera intizar mat karna mein bach gaya hun magar sare khwab dub gae meri tarah bhi samundar ko par mat karna baha lo apne shahidon ki qabr par aansu magar ye hukm hai katbe shumar mat karna hawa aziz hai lekin ye us ki zid kya hai tum apne ghar ke charaghon ko pyar mat karna ye waqt band darichon pe likh gaya 'qaisar' main ja raha hun mera intizar mat karna